aah milte hī phir judāī kī
aah milte hī phir judā.ī kī
vaah kyā ḳhuub āshnā.ī kī
na ga.ī terī sar-kashī zālim
ham ne har-chand jabba-sā.ī kī
dil nahīñ apne iḳhtiyār meñ aaj
kyā magar tū ne āshnā.ī kī
dar pe ai yaar tere aa pahuñche
tapish-e-dil ne rahnumā.ī kī
qābil-e-sajda tū hī hai ai but
sair kī ham ne sab ḳhudā.ī kī
jo muqayyad haiñ terī ulfat ke
aarzū kab unheñ rihā.ī kī
jī meñ 'bedār' khap ga.ī mere
ḳhandaq us panja-e-hinā.ī kī
aah milte hī phir judāī kī
wah kyā ḳhub āshnāī kī
na gaī terī sar-kashī zālim
hum ne har-chand jabba-sāī kī
dil nahīñ apne iḳhtiyār meñ aaj
kyā magar tū ne āshnāī kī
dar pe ai yar tere aa pahuñche
tapish-e-dil ne rahnumāī kī
qābil-e-sajda tū hī hai ai but
sair kī hum ne sab ḳhudāī kī
jo muqayyad haiñ terī ulfat ke
aarzū kab unheñ rihāī kī
jī meñ 'bedār' khap gaī mere
ḳhandaq us panja-e-hināī kī
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.