qissa parhez-gar-o-shaitan
kahūñ ek nasīhat ajab ḳhūb-tar
pahle pand suno jiiv kī kaan dhar
bure kuuñ pahle pand suuñ kyā ḳhabar
gadhā kyā būjhe za.afrān kī qadar
jo koī mard-e-dil-e-pāk aḳhlāq hai
so is paak bātāñ kā mushtāq hai
jo koī ḳhuub pārakh meñ purkār hai
so is gauharāñ kā ḳharīdār hai
jo koī asal gauhar meñ kuch ḳhuub haiñ
use pand gauhar te ap-rūp hai
duniyā kā jitā maal aur gauhar
balā duur is pand dil par
yo bin mol gauhar ke jis naañv pand
tuje muft detā huuñ rakh jiv jatan
tū nādir hunar suuñ karegā agar
phatthar kuuñ sonā hor sone kuuñ phatthar
kahun ek nasihat ajab KHub-tar
pahle pand suno jiw ki kan dhar
bure kun pahle pand sun kya KHabar
gadha kya bujhe zafran ki qadar
jo koi mard-e-dil-e-pak aKHlaq hai
so is pak baatan ka mushtaq hai
jo koi KHub parakh mein purkar hai
so is gauharan ka KHaridar hai
jo koi asal gauhar mein kuch KHub hain
use pand gauhar te ap-rup hai
duniya ka jita mal aur gauhar
bala dur is pand dil par
yo bin mol gauhar ke jis nanw pand
tuje muft deta hun rakh jiw jatan
tu nadir hunar sun karega agar
phatthar kun sona hor sone kun phatthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.