hua phir shia-o-sunni mein jhagDa
Interesting Fact
He wrote this Nazm on Shia-Sunni riots in Lucknow in the year of 1890
huā phir shī.a-o-sunnī meñ jhagḌā
zamīñ se charḳh tak pahuñchā qaziya
ye donoñ kalma-go haiñ vāh-vāh
ḳhudā dikhlā.e in ko diiñ kī raah
huā dañgā ye shahar lucknow meñ
na aa.e farq kyuuñ kar aabrū meñ
musalmāñ donoñ phir bāham nifāq aah
kidhar DhūñDheñ tujhe ai ittifāq aah
hamārī ḳhūbī-e-taqdīr dekho
chalī aapas meñ hī shamshīr dekho
jo mil-jul kar ye donoñ bhaa.ī rahte
na ham is tarah kī īzā.eñ dete
hamārā un kā qibla ek diiñ ek
makāñ donoñ kā vāhid hai makīñ ek
ḳhudā hai ek donoñ kā rasūl ek
to hai be-shubah phir asal-al-usūl ek
hamārī aur un kī hai kitāb ek
savāl qabr vāhid hai javāb ek
phir us par kis qayāmat kā hai kiina
bane haiñ donoñ sañg-o-ābgīna
hamīñ laḌ-bhiḌ ke jab ho jā.eñge chuur
to dushman hogā ham par kyuuñ na mansūr
ḳhudāyā donoñ ke dil saaf kar de
adāvat kī jagah ulfat ko bhar de
hamārī un kī hālat ek ho jaa.e
hamārī un kī niyyat ek ho jaa.e
kaheñ āmīn dil se donoñ bhaa.ī
bahamdillāh ki hotī hai safā.ī
hua phir shia-o-sunni mein jhagDa
zamin se charKH tak pahuncha qaziya
ye donon kalma-go hain wah-wah
KHuda dikhlae in ko din ki rah
hua danga ye shahar lucknow mein
na aae farq kyun kar aabru mein
musalman donon phir baham nifaq aah
kidhar DhunDhen tujhe ai ittifaq aah
hamari KHubi-e-taqdir dekho
chali aapas mein hi shamshir dekho
jo mil-jul kar ye donon bhai rahte
na hum is tarah ki izaen dete
hamara un ka qibla ek din ek
makan donon ka wahid hai makin ek
KHuda hai ek donon ka rasul ek
to hai be-shubah phir asal-al-usul ek
hamari aur un ki hai kitab ek
sawal qabr wahid hai jawab ek
phir us par kis qayamat ka hai kina
bane hain donon sang-o-abgina
hamin laD-bhiD ke jab ho jaenge chur
to dushman hoga hum par kyun na mansur
KHudaya donon ke dil saf kar de
adawat ki jagah ulfat ko bhar de
hamari un ki haalat ek ho jae
hamari un ki niyyat ek ho jae
kahen aamin dil se donon bhai
bahamdillah ki hoti hai safai
- Book : Shah Akbar Danapuri Hayat aur Shaeri (Pg. 138 - E137)
- Author : Talha Rizvi Barq
- Publication : Label Litho Press, Patna (1985)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.