koi gul baqi rahega ne chaman rah jaega
koī gul baaqī rahegā ne chaman rah jā.egā
par rasūl-allāh kā dīn-e-husan rah jā.egā
ham-safīr-o-bāġh meñ hai koī dam kā chahchahā
bulbuleñ uḌ jā.eñgī suunā chaman rah jā.egā
atlas-o-kamḳhvāb kī poshāk par nāzāñ na ho
is tan-e-be-jān par ḳhākī kafan rah jā.egā
ham fanā ho jā.eñge 'kāfī' va-lekin hashr tak
naa't hazrat kā zabānoñ par suḳhan rah jā.egā
koi gul baqi rahega ne chaman rah jaega
par rasul-allah ka din-e-husan rah jaega
ham-safir-o-bagh mein hai koi dam ka chahchaha
bulbulen uD jaengi suna chaman rah jaega
atlas-o-kamKHwab ki poshak par nazan na ho
is tan-e-be-jaan par KHaki kafan rah jaega
hum fana ho jaenge 'kafi' wa-lekin hashr tak
na't hazrat ka zabanon par suKHan rah jaega
- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 051)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.