Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

wahi subh jis mein mujhko teri kuchh KHabar na aae

Behzad Lakhnavi

wahi subh jis mein mujhko teri kuchh KHabar na aae

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    vahī sub.h jis meñ mujh ko terī kuchh ḳhabar na aa.e

    mere daur-e-zindagī meñ kabhī vo sahar na aa.e

    mirī chashm-e-justujū ye 'ajīb aarzū hai

    ki kabhī vo sāmne ho kabhī vo nazar na aa.e

    mujhe ġham nahīñ ḳhushī hai yahī dard-e-zindagī hai

    merī chāra-sāziyoñ ko koī chāra-gar na aa.e

    mere ġham kyā davā ho mujhe kis tarah shifā ho

    merā zauq-e-dīd kyā jo nazar na aa.e

    tere mai-kade ham ne ye 'ajīb taur dekhā

    ki jo aa.e be-ḳhabar ho koī bā-ḳhabar na aa.e

    merī pur-hijāb nazro zarā itnā dhyān rakhnā

    ki vo sāmne bhī aa.e to tumheñ nazar na aa.e

    nahīñ lutf bandagī nahīñ kaif zindagī

    jo jabīñ ke paas khiñch kar tirā sañg-e-dar na aa.e

    vo haram ki but-kada ho vo chaman ki mai-kada ho

    vahāñ ke ham kareñ kyā jahāñ nazar na aa.e

    merā haal kab zubūñ hai ye taḌap nahīñ sukūñ hai

    mujhe chain ilāhī kabhī 'umr bhar na aa.e

    wahi subh jis mein mujh ko teri kuchh KHabar na aae

    mere daur-e-zindagi mein kabhi wo sahar na aae

    meri chashm-e-justuju ki ye 'ajib aarzu hai

    ki kabhi wo samne ho kabhi wo nazar na aae

    mujhe gham nahin KHushi hai yahi dard-e-zindagi hai

    meri chaara-saziyon ko koi chaara-gar na aae

    mere gham ki kya dawa ho mujhe kis tarah shifa ho

    mera zauq-e-did kya jo tu hi nazar na aae

    tere mai-kade ka hum ne ye 'ajib taur dekha

    ki jo aae be-KHabar ho koi ba-KHabar na aae

    meri pur-hijab nazro zara itna dhyan rakhna

    ki wo samne bhi aae to tumhein nazar na aae

    nahin lutf bandagi ka nahin kaif zindagi ka

    jo jabin ke pas khinch kar tera sang-e-dar na aae

    wo haram ki but-kada ho wo chaman ki mai-kada ho

    wahan ja ke hum karen kya jahan tu nazar na aae

    mera haal kab zubun hai ye taDap nahin sukun hai

    mujhe chain ya ilahi kabhi 'umr bhar na aae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now