kab tak rahega aapko mujhse dila hijab
kab tak rahegā aap ko mujh se dilā hijāb
chehrā se ek baar bhī uThvā.iye naqāb
badle hue nigāh haiñ phir kyā javāb duuñ
baaqī nahīñ hai hosh zarā bhī nahīñ hai taab
dil ko phañsā ke tiir chalāyā nigāh ne
be-ghāT yuuñ phañsā ke kiyā ḳhasta aur ḳharāb
ab dil phirā huā hai milūñgā kabhī nahīñ
lākhoñ kareñ savāl na dūñgā unheñ javāb
bas ai faqīr tujh ko dil-ārām kī qasam
jī bhar ke pī le 'ishq kā jitnā mile sharāb
kab tak rahega aap ko mujh se dila hijab
chehra se ek bar bhi uThwaiye naqab
badle hue nigah hain phir kya jawab dun
baqi nahin hai hosh zara bhi nahin hai tab
dil ko phansa ke tir chalaya nigah ne
be-ghaT yun phansa ke kiya KHasta aur KHarab
ab dil phira hua hai milunga kabhi nahin
lakhon karen sawal na dunga unhen jawab
bas ai faqir tujh ko dil-aram ki qasam
ji bhar ke pi le 'ishq ka jitna mile sharab
- Book : Diwan-e-Afzal (Pg. 14)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.